My Hobby-Nature Photography

Wednesday, July 20, 2011

First Poem by Me

Sochta hun mein, Sochta hun mein.
Dil mein khwab bunta rehta hun mein.
Durr akash mein udte panchi ko dekh,
Udne ki tamana dil mein jagti dekh,
Kuch kar dikhane ki tamana mein,
Chal pada hun mein, chal pada hun mein.

Mann mein aash hai, Dil mein talash hai,
Apna hoga yeh jahan, yehi vishvas hai.
Mera bhi hoga jahan sapno sa,
Apna bhi hoga ashiyana sapno sa,
Kya rakha hai aise hi jine mein,
Aise hi kuch sochta hum mein.

Manzil milegi ya nahin, yeh pata nahi,
Hosla buland hai, harne ka darr nahi.
Ankho mein sapne hai, pana bus tujko hai,
Khwabon ke samundar mein apni kashti liye,
Chal pada hun mein, chal pada hun mein.


2 comments: